Bol ke lab azad hain tere

Its hight time to unite ourselves to fight against all communal forces

Save India From BJP

Friday, April 24, 2015

Ek ghazal

Main agar khud ko mil gaya hota
Phir na shayad koi gila hota

To duaon ki kya zaroorat thhi
Haath mein sab agar likha hota

Mere dil ko sokun mil jata
Main bhi aye kaash bewafa hota

Mujhko patthar samajhne wale sun
Sang hota to devta hota

Sar negu'n aasmaan ho jata
Main agar sa
r negu'n hua hota

Zehen mein ek khyal rahta hai
Main Jo hota to kya se kya hota

Zindagi khatm ho gayee hoti
Khwahinshon se agar mila hota

Haan main tere qareeb aa jata
Gar bikharne ka hausla hota

Aur tu mujhmein mar gaya hota
Kaash aisa bhi haadsa hota

Khud mein hi khud ko qaid kar leta
Gar nikalne ka raasta hota

Inaam azmi

Ek ghazal

Na khuda apna hai na koi zamane wala
Kaun hai pyar se aawaz lagane wala

Ab ye lagta hai ke manzil pe qadam pahunchenge
ab nahi koi mera saath nibhaane wala

Maine dekha hai ki main cheekh raha hoon khud mein
"hai koi khwab ki taaber
batane wala"

Apne andar mujhe har waqt ghutan hoti hai
main nahi khud mein kabhi laut ke aane wala

jaane kis shakhs ko dil dhoondh raha hai mera
hamsafar lagta hai har raah se jaane wala

Inaam

4 shair

Wahem hai khwab hai dar hai ke gumaa'n hai koi
kya teri zaat hai? yeh mujhko bata de yarad

Log kahte hain ki maujood hai tu har shai mein
Tu agar mujhmein hai phir apna pata de ya rab

Zest ko mujhse shikyat hai mujhe tumse hai
mere hone ki mujhe koi saza de yarab

Zindagi hamne guzari hai pashemaa'n hokar
zehen se yaad ke auraq mita de ya rab

Tarhi ghazal

jab bhi teri baat hui hai
aankhon se barsaat hui hai

Khamoshi mein din guzra hai
Hangaame mein raat hui hai

Chikh raha hai hai zalim mujhmein
khushiyon ki shuruaat hui hai

Aaj main Qhudko jeet gaya hu'n,
Aaj hi meri maat hui hai.

Teri khatir rezah rezah
kaise meri zaat hui hai

Inam azmi

Meri ghazal


Mujhko yun thhes lag gayee khud se
Ho gaye log dar badar mujhmein

Ban rahe hain sabhi mere hamdard
kaun aane laga nazar mujhmein

Talkh lahja hai iss qadar apna
Ho gaya zahr be asar mujhmein

Mujhmein yun shaam kar gaya koi
ho na payegi phir sehar mujhmein

Mujhmein kyun aise jhankta hai tu
janna hai to aa utar mujhmein

Mujhko yun thhes lag gayee khud se
Ho gaye log dar badar mujhmein

Khwahinsheim ho rahi hain phir zindah
muflisi aaj kuchh to kar mujhmein

Maine rastah badal diya apna
mar gaya mera hamsafar mujhmein

میری غزل


یہ جو آنکھوں میں خواب ہے جاناں
سچ کہوں تو عزاب ہے جاناں
زندگی کچھ نہیں مگر غم کا
اک مکمل نصاب ہے جاناں
اپنے ہونے کا بھی گمان نہیں
حال اتنا خراب ہے جاناں
جسم میں خون اب بچا ہی نہیں
اب تو جو ہے شراب ہے جاناں
پیار چاہت وفا کے بدلے میں
کچھ نہیں ہے سراب ہے جاناں
کتنے ٹکروں میں بٹ گیا ہوں میں
تم کو اس کا حساب ہے جاناں
کون ہوں میں سوال ہے گر تو
کون ہو تم جواب ہے جاناں

انعام عازمی

میری غزل

شور برپا ہے کوئی اور نہ صدا ہے مجھ میں
ایسا لگتا ہے کوئی روٹھ گیا ہے مجھ میں

ﻣﺠﮫ ﺳﮯ ﮨﯽ ﺟﻨﮓ ﭘﮧ ﺁﻣﺎﺩﮦ ﮨﮯ ﻣﯿﺮﮮ ﺍﻧﺪﺭ
ﮐﻮﺋﯽ ﻭﺣﺸﯽ ﮨﮯ ﮐﮧ ﻇﺎﻟﻢ ﮨﮯ ﯾﮧ ﮐﯿﺎ ﮨﮯ ﻣﺠﮫ ﻣﯿﮟ

اے بھٹکتے ہوئے رہگیر میرے اندر جھانک
تیرا رستہ تیری منزل کا پتہ ہے مجھ میں

غرق ہو جاتی ہیں خوشیاں سبھی مجھ میں آکر
اک اداسی کا سمندر جو چھپا ہے مجھ میں

تو اگر آئیگا مجھ میں تو بکھر جائیگا
تیز بہتی ہوئی بے سمت  ہوا ہے مجھ میں

روح زخمی ہے اور جسم ہے ریزہ ریزہ
میرے ہمدرد تو کیا ڈھونڈ رہا ہے مجھ میں

میری امید کی شمعیں نہیں جلنے پاتیں
ایسا لگتا ہے کی طوفان بپا ہے مجھ میں

کچھ نہیں ایسا جو قربان کروں میں تجھ پر
ﺭﻧﺞ ہے ﻏﻢ ﮨﮯ ﺍﺩﺍﺳﯽ ﮨﮯ ﺑﻼ ﮨﮯ ﻣﺠﮫ ﻣﯿﮟ

ﺧﺎﻣﺸﯽ ﭼﯿﺦ ﮐﮯ ﮨﺮ ﺑﺎﺭ ﯾﮩﯽ ﮐﮩﺘﯽ ﮨﮯ
ﺍﺏ ﺑﮭﯽ ﺭﻭﺷﻦ ﺗﺮﯼ ﯾﺎﺩﻭﮞ ﮐﺎ ﺩﯾﺎ ﮨﮯ ﻣﺠﮫ ﻣﯿﮟ

دربدر ہو گئی امید کی موہوم کرن
حادثہ کوئی نیا پھر سے ہوا ہے مجھ میں

اک بھرم جس پے میری ذات   تھی زندہ انعام
مجھ کو معلوم ہے وہ ٹوٹ چکا ہے مجھ میں

انعام عازمی