Abbu ki yaaad mein
Kya bataein ke kya hua abbu
ho gaya khatm maajra abbu
Aap ab laut kar na aayenge
log kahte hain baraha abbu
Kyun tasawwur karoon ke jina hai
mujhko ab aapke bina abbu
Ammi,babu aur hamdi ki ab
yaad aati nahi hai kya abbbu?
Mujhko jo bhi hai apni zaat se hai
aap se kuchh nahi gila abbu
Kaise guzregi zindagi meri
Har ghari main hoon sochta abbu
Log mujhko yateem bolenge
Aisa ab waqt hai mera abbu
Ho gayee khatm ab meri duniya
yani kuchh bhi nahi bacha abbu
Kaun bolega ab hamein "beta"
kaun dega hamein dua abbu
Dil dukhaya thha aapka maine
ya hui thhi koi khata abbu
ek bas aapke na hone se
aa gaya kaisa marhala abbu
Kya mere mas'ale ka hal hoga
mujhko kuchh bhi nahi pata abbu
Kal bhi allah rizq deta thha
ab bhi hai woh hi aasra abbu
Jis tarah aap ho gaye rukhsat
aise jata hai koi kya abbu
inaam