Agar uss taraf se ishare milenge
To ham baanh apni pasare milenge
Tum in bastiyon mein khushi dhundhte ho
Yahan to sabhi gham ke maare milenge
Yeh matlab parasti ka hai daur pyare
Ab apno mein kuchh hi hamare milenge
Main ab bhi wahi bachpana dhundhta hoon
Kahan mujhko lamhe guzare milenge?
Woh shab ka musafir hai usko pata hai
Usey hamsafar chaand tare milenge
Hatheli mein chahat ki rekha nahi hai
To kaise mujhe log pyare milenge
Mukhalif hawaon mere saath maa hai
Meri kashtiyon ko kinare milenge
Isi aas pe ab talak ji raha hoon
Bichhar Jo gaye thhe woh saare milenge
Agar aasman ko tatolenge jakar
To qismat ke toote sitare milenge
No comments:
Post a Comment