ye na puchho kaha'n kaha'n tum ho
der o kaaba ke darmiyaa'n tum ho
apne andar bhi main nahi ab to
mere andar bhi mehrbaa'n tum ho
woh kahani jo namukammal hai
uske har lafz se baya'n tum ho
log kahte hain main tumhara hoon
kya meri zaat se ayaa'n tum ho?
tum ho takhleeq mere khwabon ki
sach kahoom wahem ho gumaa'n tum ho
main sitara hoon teri jhurmut ka
aye meri jaan kahkashaa'n tum ho
tum mere saath to nahi lekin
hamsafar tum ho raazdaa'n tum ho
by inaam azmi
No comments:
Post a Comment