Na uthha dar se mujhe aur na ghar
Jane de
saaqiya aur pila aaj hi mar jaane de
dard o gham ranj o alam Jo bhi diya
hai usne
sonchta hun ke kahoon sabse magar Jane de
ham nashee'n rok na ab toot chuka hun bilkul
jhoomte jhoomte mahfil mein bikhar
Jane de
na dilasa na koi mujhko tasalli de ab
aankh bharti hai agar meri to bhar
jaane de
aise haalaat mein dushwar hai chalna bilkul
manzil e shuq Zara mujhko thahar Jane de
By Inaam Azmi
No comments:
Post a Comment