Bol ke lab azad hain tere

Its hight time to unite ourselves to fight against all communal forces

Save India From BJP

Friday, January 6, 2012

Afsos

Inaam Azmi
Ye meri khata thi pyar kiya
ek shakhs pe main aitabar kiya.
Dil usko de karke maine.
Apna jivan barbaad kiya.
Main ek ashiq tha bechara.
Main uski muhabbat ka mara.
Main karta bhi to kya karta.
Dil usko dekar sab hara.
Khushiyan na mili to kya gham hai.
Jo gham hi mile hai kya kam hain
har julmo sitam ko sah sah kar.
Ye jism mera ab bedam hai.
Haan dil ki kali muskayee thi.
Jab paas tu mere ayee thi
jab maine chhua tha tmko to.
Tm halki si sharmayee thi.
Gar jaan agar main ye jata.
Tute ga kabhi apna nata.
Tu mujhko karegi yun ruswa.
To paas tere main na ata.
Ab jo hota hai hone do.
Tm mujhko tanha rahne do.
Haan maine sahe hain laakhon gham.
Ab mujhko hansne rone do.
Ja tujhko kabhi bhi gham na mile.
Jo gham bhi mile to kam hi mile.
Har su tere bikhri ho khushiyan
par phir se dubara ham na milen.
By me