Bol ke lab azad hain tere

Its hight time to unite ourselves to fight against all communal forces

Save India From BJP

Friday, April 24, 2015

Ek ghazal

Main agar khud ko mil gaya hota
Phir na shayad koi gila hota

To duaon ki kya zaroorat thhi
Haath mein sab agar likha hota

Mere dil ko sokun mil jata
Main bhi aye kaash bewafa hota

Mujhko patthar samajhne wale sun
Sang hota to devta hota

Sar negu'n aasmaan ho jata
Main agar sa
r negu'n hua hota

Zehen mein ek khyal rahta hai
Main Jo hota to kya se kya hota

Zindagi khatm ho gayee hoti
Khwahinshon se agar mila hota

Haan main tere qareeb aa jata
Gar bikharne ka hausla hota

Aur tu mujhmein mar gaya hota
Kaash aisa bhi haadsa hota

Khud mein hi khud ko qaid kar leta
Gar nikalne ka raasta hota

Inaam azmi

No comments:

Post a Comment