Bol ke lab azad hain tere

Its hight time to unite ourselves to fight against all communal forces

Save India From BJP

Friday, April 24, 2015

Ek ghazal

Dard e dil ab saha nhi jata
Kya kahein kuchh kaha nhi jata

Meri manzil hai ustaraf yaro
Jis taraf raasta nahi jata

Ittefaqan qareeb aane se
Beech ka faasla nahi jata

Mujhko khud ki talash hai kab se
Aur khud se mila nahi jata

Jism kahta h cheekh kar mujhse
Zakhm se hausla nahi jaata


Chikhti hai koi sada mujhmein
Zeh'n se haadsa nahi jata

Khud parasti ka ab ye alam hai
Rab ke aage jhuka nahi jata

Tab talak bhook mit nahi sakti
Jab talak khud ko kha nahi jata

inaam Azmi

No comments:

Post a Comment